Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
logon ko to karne ke bahut kaam hain 'aslam'
ham ko to mohabbat ke sivaa kuchh nahin aataa
لوگوں کو تو کرنے کے بہت کام ہیں اسلمؔ
ہم کو تو محبت کے سوا کچھ نہیں آتا
लोगों को तो करने के बहुत काम हैं 'असलम'
हम को तो मोहब्बत के सिवा कुछ नहीं आता

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq jis se ho tiri raah taki jaati hai
hijr jis se ho tujhe yaad kiyaa jaataa hai
kuchh is liye bhi tiri aarzu nahin hai mujhe
main chaahtaa huun miraa ishq jaavedaani ho
is se pahle ki ye aazaar gavaara kar lein
aa miri jaan mohabbat se kinaara kar lein
ab ke masrufiyat-e-ishq bahut hai ham ko
tum chale jaao to fursat se guzaara kar lein