Shayari
lagtaa nahin ki us se maraasim bahaal hon
main kyaa karun ki thoDaa saa paagal to main bhi huun
dilon se khauf nikaltaa nahin azaabon kaa
zamin ne oDh liye sar par aasmaan phir se
دلوں سے خوف نکلتا نہیں عذابوں کا
زمیں نے اوڑھ لیے سر پر آسماں پھر سے
दिलों से ख़ौफ़ निकलता नहीं अज़ाबों का
ज़मीं ने ओढ़ लिए सर पर आसमाँ फिर से

lagtaa nahin ki us se maraasim bahaal hon
main kyaa karun ki thoDaa saa paagal to main bhi huun
use ab bhuul jaane kaa iraada kar liyaa hai
bharosa ghaaliban khud par ziyaada kar liyaa hai
jis ki khaatir main bhulaa baiThaa thaa apne aap ko
ab usi ke bhuul jaane kaa hunar bhi dekhnaa
vo ek shakhs ki manzil bhi raastaa bhi hai
vahi duaa bhi vahi haasil-e-duaa bhi hai
ye kis azaab mein us ne phansaa diyaa mujh ko
ki us kaa dhyaan koi kaam karne detaa nahin
gum huaa jaataa hai koi manzilon ki gard mein
zindagi bhar ki masaafat raaegaan hone ko hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa