Shayari
tumhaaraa saath agar ho to joD saktaa huun
vo silsila jo sar-e-daastaan TuuT gayaa
ham qaafile se bichhDe hue hain magar 'nabil'
ik raasta alag se nikaale hue to hain
ہم قافلے سے بچھڑے ہوئے ہیں مگر نبیلؔ
اک راستہ الگ سے نکالے ہوئے تو ہیں
हम क़ाफ़िले से बिछड़े हुए हैं मगर 'नबील'
इक रास्ता अलग से निकाले हुए तो हैं

tumhaaraa saath agar ho to joD saktaa huun
vo silsila jo sar-e-daastaan TuuT gayaa
roz dastak si koi detaa hai siine mein 'nabil'
roz mujh mein kisi aavaaz ke par khulte hain
khaamushi TuTegi aavaaz kaa patthar bhi to ho
jis qadar shor hai andar kabhi baahar bhi to ho
ek takhti amn ke paighaam ki
Taang diije unche minaaron ke beach
phir nae saal ki sarhad pe khaDe hain ham log
raakh ho jaaegaa ye saal bhi hairat kaisi
main agar TuuTaa to saaraa shahr bikhregaa 'nabil'
aisaa patthar huun fasil-e-shahr ki buniyaad kaa
tujh ko hai ham se judaai aarzu
mere dil mein shauq hai didaar kaa
chup-chaap sunti rahti hai pahron shab-e-firaaq
tasvir-e-yaar ko hai miri guftugu pasand
ye amal ret ko paani nahin banne detaa
pyaas ko apni saraabon se alag rakhtaa huun
dil ke har juzv mein judaai hai
dard uThe aabla agar baiThe
amir-e-kaarvaan hai tang ham se
hamaaraa raastaa sab se alag hai
bikher de mujhe chaaron taraf khalaaon mein
kuchh is tarah se alag kar ki juD na paaun main