Shayari
main ne ik shahr hamesha ke liye chhoD diyaa
lekin us shahr ko aaankhon mein basaa laayaa huun
shab ki aaghosh mein mahtaab utaaraa us ne
meri aaankhon mein koi khvaab utaaraa us ne
شب کی آغوش میں مہتاب اتارا اس نے
میری آنکھوں میں کوئی خواب اتارا اس نے
शब की आग़ोश में महताब उतारा उस ने
मेरी आँखों में कोई ख़्वाब उतारा उस ने

main ne ik shahr hamesha ke liye chhoD diyaa
lekin us shahr ko aaankhon mein basaa laayaa huun
aaj ki raat divaali hai diye raushan hain
aaj ki raat ye lagtaa hai main so saktaa huun
zakhm jo tum ne diyaa vo is liye rakkhaa haraa
zindagi mein kyaa bachegaa zakhm bhar jaane ke baad
vaqt-e-rukhsat aab-dida aap kyuun hain
jism se to jaan hamaari jaa rahi hai
yuun baar baar mujh ko sadaaein na dijiye
ab vo nahin rahaa huun koi dusraa huun main
aansuon se likh rahe hain bebasi ki daastaan
lag rahaa hai dard ki tasvir ban jaaeinge ham
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
shab ko aa kar vo phir gayaa haihaat
kyaa isi raat ham ko sonaa thaa
ji DhunDtaa hai phir vahi fursat ki raat din
baiThe rahein tasavvur-e-jaanaan kiye hue
kab tak paDe rahoge havaaon ke haath mein
kab tak chalegaa khokhle shabdon kaa kaarobaar