Shayari
ishq mein bu hai kibriyaai ki
aashiqi jis ne ki khudaai ki
B
Baqaullah 'Baqa'bas paa-e-junun sair-e-bayaabaan to bahut ki
ab khaana-e-zanjir mein Tuk baiTh ke dam le
بس پائے جنوں سیر بیاباں تو بہت کی
اب خانۂ زنجیر میں ٹک بیٹھ کے دم لے
बस पा-ए-जुनूँ सैर-ए-बयाबाँ तो बहुत की
अब ख़ाना-ए-ज़ंजीर में टुक बैठ के दम ले
ishq mein bu hai kibriyaai ki
aashiqi jis ne ki khudaai ki
bulbul se kahaa gul ne kar tark mulaaqaatein
ghunche ne girah baandhin jo gul ne kahin baatein
ishq ne mansab likhe jis din miri taqdir mein
daagh ki naqadi mili sahraa milaa jaagir mein
chhoD kar kucha-e-mai-khaana taraf masjid ke
main to divaana nahin huun jo chalun hosh ki raah
ulfat mein tiri ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aayaa hamein ik haath se taali kaa bajaanaa
kal ke din jo gird mai-khaane ke phirte the kharaab
aaj masjid mein jo dekhaa saahab-e-sajjaada hain