Shayari
bulbul se kahaa gul ne kar tark mulaaqaatein
ghunche ne girah baandhin jo gul ne kahin baatein
B
Baqaullah 'Baqa'kal ke din jo gird mai-khaane ke phirte the kharaab
aaj masjid mein jo dekhaa saahab-e-sajjaada hain
کل کے دن جو گرد مے خانے کے پھرتے تھے خراب
آج مسجد میں جو دیکھا صاحب سجادہ ہیں
कल के दिन जो गिर्द मय-ख़ाने के फिरते थे ख़राब
आज मस्जिद में जो देखा साहब-ए-सज्जादा हैं
bulbul se kahaa gul ne kar tark mulaaqaatein
ghunche ne girah baandhin jo gul ne kahin baatein
ishq ne mansab likhe jis din miri taqdir mein
daagh ki naqadi mili sahraa milaa jaagir mein
chhoD kar kucha-e-mai-khaana taraf masjid ke
main to divaana nahin huun jo chalun hosh ki raah
ulfat mein tiri ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aayaa hamein ik haath se taali kaa bajaanaa
is bazm mein puchhe na koi mujh se ki kyaa huun
jo shisha gire sang pe main us ki sadaa huun
ishq mein bu hai kibriyaai ki
aashiqi jis ne ki khudaai ki
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
abhi aankhon hi ko de bazm mein gardish saaqi
yahi paimaane chhalakte rahein jaam aane tak
mire khamir se ye kaaenaat uThaate hue
use ghurur bahut thaa mujhe banaate hue
vo kyaa ki jis ko mayassar hai mustaqil honaa
sarisht-e-zakhm mein shaamil hai mundamil honaa
sab ko kaanTon pe shak huaa thaa magar
zakhm ke aas-paas phuul mile