Shayari
sirat ke ham ghulaam hain surat hui to kyaa
surkh o safed miTTi ki murat hui to kyaa
B
Bayan Ahsanullah Khandilbaron ke shahr mein begaanagi andher hai
aashnaai DhunDtaa phirtaa huun main le kar diyaa
دلبروں کے شہر میں بیگانگی اندھیر ہے
آشنائی ڈھونڈتا پھرتا ہوں میں لے کر دیا
दिलबरों के शहर में बेगानगी अंधेर है
आश्नाई ढूँडता फिरता हूँ मैं ले कर दिया
sirat ke ham ghulaam hain surat hui to kyaa
surkh o safed miTTi ki murat hui to kyaa
arsh tak jaati thi ab lab tak bhi aa sakti nahin
rahm aa jaataa hai kyuun ab mujh ko apni aah par
koi samjhaaiyo yaaro miraa mahbub jaataa hai
miraa maqsud jaataa hai miraa matlub jaataa hai
ham sarguzisht kyaa kahein apni ki misl-e-khaar
paamaal ho gae tire daaman se chhuT kar
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
vaa'da amir-e-shahr kaa dariyaa-dili kaa thaa
dekh un kaa faiz shahr ko dariyaa banaa diyaa
duur ham se hain vo to kyaa Dar hai
paas hai apne aarsi dil ki
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye