Shayari
baat tak karni na aati thi tumhein
ye hamaare saamne ki baat hai
shab-e-vasl ki kyaa kahun daastaan
zabaan thak gai guftugu rah gai
شب وصل کی کیا کہوں داستاں
زباں تھک گئی گفتگو رہ گئی
शब-ए-वस्ल की क्या कहूँ दास्ताँ
ज़बाँ थक गई गुफ़्तुगू रह गई

baat tak karni na aati thi tumhein
ye hamaare saamne ki baat hai
ghazab kiyaa tire vaade pe e'tibaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intizaar kiyaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
chup-chaap sunti rahti hai pahron shab-e-firaaq
tasvir-e-yaar ko hai miri guftugu pasand
kahin hai iid ki shaadi kahin maatam hai maqtal mein
koi qaatil se miltaa hai koi bismil se miltaa hai
ruuh kis mast ki pyaasi gai mai-khaane se
mai uDi jaati hai saaqi tire paimaane se
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
rok do ye raushni ki tez dhaar
meri miTTi mein gundhi hai raat bhi
rang ho raushni ho yaa khushbu
sab mein partav usi hasin ke hain
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa