Shayari
ai inqalaab-e-nau ke ujaale kahaan hai tu
saDkon pe mere shahr ki kab tak dhuaan rahe
hai lahu shahidon kaa naqsh-e-jaavedaan yaaro
maqtalon mein hoti hai aaj bhi azaan yaaro
ہے لہو شہیدوں کا نقش جاوداں یارو
مقتلوں میں ہوتی ہے آج بھی اذاں یارو
है लहू शहीदों का नक़्श-ए-जावेदाँ यारो
मक़्तलों में होती है आज भी अज़ाँ यारो

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gai thi kah ke main laati huun zulf-e-yaar ki bu
phiri to baad-e-sabaa kaa dimaagh bhi na milaa
na samjhoge to miT jaaoge ai hindostaan vaalo
tumhaari daastaan tak bhi na hogi daastaanon mein
aql ayyaar hai sau bhes badal leti hai
ishq bechaara na zaahid hai na mullaa na hakim
havaa ho aisi ki hindostaan se ai 'iqbaal'
uDaa ke mujh ko ghubaar-e-rah-e-hijaaz kare
vo meraa dost hai saare jahaan ko hai maalum
daghaa kare vo kisi se to sharm aae mujhe