Shayari
natija ek saa niklaa dimaagh aur dil kaa
ki donon haar gae imtihaan mein duniyaa ke
dinon mahinon aankhein roiin nai ruton ki khvaahish mein
rut badli to sukhe patte dahlizon mein dar aae
دنوں مہینوں آنکھیں روئیں نئی رتوں کی خواہش میں
رت بدلی تو سوکھے پتے دہلیزوں میں در آئے
दिनों महीनों आँखें रोईं नई रुतों की ख़्वाहिश में
रुत बदली तो सूखे पत्ते दहलीज़ों में दर आए

natija ek saa niklaa dimaagh aur dil kaa
ki donon haar gae imtihaan mein duniyaa ke
main umr ko to mujhe umr khinchti hai ulaT
tazaad samt kaa hai asp aur savaar ke biich
qismat ki kharaabi hai ki jaataa huun ghalat samt
paDtaa hai bayaabaan bayaabaan se aage
dhuup javaani kaa yaaraana apni jagah
thak jaataa hai jism to saaya maangtaa hai
ajiib shakhs thaa main bhi bhulaa nahin paayaa
kiyaa na us ne bhi inkaar yaad aane se
har mulaaqaat kaa anjaam judaai thaa agar
phir ye hangaama mulaaqaat se pahle kyaa thaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kal na jaane shahr mein kis baat kaa jalsa huaa
aaj saare shahr kaa naqsha hai kuchh badlaa huaa
film ki gardish se tasvirein badalti hi rahin
umr-e-rafta kaa na aayaa phir vo manzar saamne
dil ki hai sarmaaya-daar-e-izzat o naamus-e-husn
hai yahi markaz yahi hai daaera mere liye
ishq ne paidaa kiyaa hai ek dil
husn vaalo ek jalvaa chaahiye