Shayari
kabhi meri talab kachche ghaDe par paar utarti hai
kabhi mahfuz kashti mein safar karne se Dartaa huun
tumhein bhi bhulne ki koshishein kiin
ki khud par bhi qayaamat kar gayaa vo
تمہیں بھی بھولنے کی کوششیں کیں
کہ خود پر بھی قیامت کر گیا وہ
तुम्हें भी भूलने की कोशिशें कीं
कि ख़ुद पर भी क़यामत कर गया वो

kabhi meri talab kachche ghaDe par paar utarti hai
kabhi mahfuz kashti mein safar karne se Dartaa huun
kisi pe karnaa nahin e'tibaar meri tarah
luTaa ke baiThoge sabr o qaraar meri tarah
'farid' ik din sahaare zindagi ke TuuT jaaeinge
sabab ye hai ki khud ko be-sahaaraa kar rahaa huun main
bagula ban ke uDaa khvaahishon ke sahraa mein
Thahar gayaa to faqat thaa ghubaar meri tarah
tamannaa apni un par aashkaaraa kar rahaa huun main
jo pahle kar chukaa huun ab dobaaraa kar rahaa huun main