Shayari
tumhein bhi bhulne ki koshishein kiin
ki khud par bhi qayaamat kar gayaa vo
tamannaa apni un par aashkaaraa kar rahaa huun main
jo pahle kar chukaa huun ab dobaaraa kar rahaa huun main
تمنا اپنی ان پر آشکارا کر رہا ہوں میں
جو پہلے کر چکا ہوں اب دوبارا کر رہا ہوں میں
तमन्ना अपनी उन पर आश्कारा कर रहा हूँ मैं
जो पहले कर चुका हूँ अब दोबारा कर रहा हूँ मैं

tumhein bhi bhulne ki koshishein kiin
ki khud par bhi qayaamat kar gayaa vo
kabhi meri talab kachche ghaDe par paar utarti hai
kabhi mahfuz kashti mein safar karne se Dartaa huun
kisi pe karnaa nahin e'tibaar meri tarah
luTaa ke baiThoge sabr o qaraar meri tarah
'farid' ik din sahaare zindagi ke TuuT jaaeinge
sabab ye hai ki khud ko be-sahaaraa kar rahaa huun main
bagula ban ke uDaa khvaahishon ke sahraa mein
Thahar gayaa to faqat thaa ghubaar meri tarah
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ham jaante to ishq na karte kisu ke saath
le jaate dil ko khaak mein is aarzu ke saath
aatish-e-dozakh mein ye garmi kahaan
soz-e-gham-haa-e-nihaani aur hai
aataa hai daagh-e-hasrat-e-dil kaa shumaar yaad
mujh se mire gunah kaa hisaab ai khudaa na maang
na sataaish ki tamannaa na sile ki parvaa
gar nahin hain mire ashaar mein maani na sahi
sab miTaa dein dil se hain jitni ki us mein khvaahishein
gar hamein maalum ho kuchh us ki khvaahish aur hai