Shayari
vo chaand kah ke gayaa thaa ki aaj niklegaa
to intizaar mein baiThaa huaa huun shaam se main
tu faraaham na ho mujh ko ye hai marzi teri
tujh ko jab chaahun bulaa luun ye ijaazat mujhe de
تو فراہم نہ ہو مجھ کو یہ ہے مرضی تیری
تجھ کو جب چاہوں بلا لوں یہ اجازت مجھے دے
तू फ़राहम न हो मुझ को ये है मर्ज़ी तेरी
तुझ को जब चाहूँ बुला लूँ ये इजाज़त मुझे दे

vo chaand kah ke gayaa thaa ki aaj niklegaa
to intizaar mein baiThaa huaa huun shaam se main
ek bose ke bhi nasib na hon
honTh itne bhi ab gharib na hon
phir soch ke ye sabr kiyaa ahl-e-havas ne
bas ek mahina hi to ramzaan rahegaa
mire ashaar hain vo aasmaani khvaab jin ko
miri miTTi ke honThon par utaaraa jaa rahaa hai
ik aayat-e-vajud huun miTTi ke Dher mein
mere nuzul ki to koi shaan hi nahin
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
aap kaa koi safar be-samt be-manzil na ho
zindagi aisi na jiinaa jis kaa mustaqbil na ho
na chhaanv karne ko hai vo aanchal na chain lene ko hain vo baanhein
musaafiron ke qarib aa kar har ik baseraa palaT gayaa hai