Shayari
chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
qurb hi kam hai na duuri hi ziyaada lekin
aaj vo rabt kaa ehsaas kahaan hai ki jo thaa
قرب ہی کم ہے نہ دوری ہی زیادہ لیکن
آج وہ ربط کا احساس کہاں ہے کہ جو تھا
क़ुर्ब ही कम है न दूरी ही ज़ियादा लेकिन
आज वो रब्त का एहसास कहाँ है कि जो था

chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
vo gutthi aaj tak suljhaa rahaa huun
main muddaton jiyaa huun kisi dost ke baghair
ab tum bhi saath chhoDne ko kah rahe ho khair
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
hamein vaasta taDap se hamein kaam aansuon se
tujhe yaad kar ke roe yaa tujhe bhulaa ke roe
bulandi ke liye bas apni hi nazron se girnaa thaa
hamaari kam-nasibi ham mein kuchh ghairat ziyaada thi
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
vo dil se kam zabaan hi se ziyaada baat kartaa thaa
jabhi us ke yahaan gahraai kam vusat ziyaada thi