Shayari
behtar dinon ki aas lagaate hue 'habib'
ham behtarin din bhi ganvaate chale gae
H
Habeeb Amrohvikyuun mujh ko nazr-e-aatish-e-ehsaas kar diyaa
kyuun jaan Daal kar miri miTTi kharaab ki
کیوں مجھ کو نذر آتش احساس کر دیا
کیوں جان ڈال کر مری مٹی خراب کی
क्यूँ मुझ को नज़्र-ए-आतिश-ए-एहसास कर दिया
क्यूँ जान डाल कर मिरी मिट्टी ख़राब की
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na ho barham jo bosa be-ijaazat le liyaa main ne
chalo jaane do betaabi mein aisaa ho hi jaataa hai
is raaz ko kyaa jaanein saahil ke tamaashaai
ham Duub ke samjhe hain dariyaa tiri gahraai