Shayari
vo mujh ko dekhne mere qarib aayaa hai
ye dhund saare mahinon mein kyuun nahin paDti
vo andheraa hai ki bujhti hui aankhein mujh se
puchhti hain ki vo aaegaa saveraa hogaa
وہ اندھیرا ہے کہ بجھتی ہوئی آنکھیں مجھ سے
پوچھتی ہیں کہ وہ آئے گا سویرا ہوگا
वो अंधेरा है कि बुझती हुई आँखें मुझ से
पूछती हैं कि वो आएगा सवेरा होगा

vo mujh ko dekhne mere qarib aayaa hai
ye dhund saare mahinon mein kyuun nahin paDti
main chaah kar bhi use kuchh na de sakaa 'haaris'
vo bhaav puchh ke meri dukaan se lauT gayaa
yaani darvaaza bhi ik ism hai jis ko paDh kar
log divaar ke andar se guzaare jaaein
pahle ki baat aur hai jab dil mein the muqim
ab tum ragon mein dauDte ho khuun ki tarah
kaamyaabi ki duaaein mujhe dene vaale
main tire ishq mein naakaam huaa jaataa huun
tumhaari yaad ki shiddat mein bahne vaalaa ashk
zamin mein bo diyaa jaae to aankh ug aae
andheri shab kaa ye khvaab-manzar mujhe ujaalon se bhar rahaa hai
to raat itni tavil kar de ki taa-qayaamat sahar na aae
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
haan dikhaa de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyaam tu
khvaab-e-aaraam mein sotaa thaa vo gul qahr huaa
ai nasim-e-sahari kis ko jagaayaa tu ne
is taraf bhi kabhi aanaa ki asiraan-e-qafas
ai nasim-e-sahari tujh ko duaa dete hain