Shayari
falak pe bhiiD lagi thi shikasta aahon ki
duaa se pahle mujhe raasta banaanaa paDaa
ye rivaayat hai kitaabon mein utaare jaaein
vo jo khushbu ke safar mein kahin maare jaaein
یہ روایت ہے کتابوں میں اتارے جائیں
وہ جو خوشبو کے سفر میں کہیں مارے جائیں
ये रिवायत है किताबों में उतारे जाएँ
वो जो ख़ुशबू के सफ़र में कहीं मारे जाएँ

falak pe bhiiD lagi thi shikasta aahon ki
duaa se pahle mujhe raasta banaanaa paDaa
tumhaari yaad ki shiddat mein bahne vaalaa ashk
zamin mein bo diyaa jaae to aankh ug aae
achchhaa tiri nazar mein bahut mukhtalif huun main
yaani tiri nazar mein koi dusraa bhi hai
vo mujh ko dekhne mere qarib aayaa hai
ye dhund saare mahinon mein kyuun nahin paDti
main chaah kar bhi use kuchh na de sakaa 'haaris'
vo bhaav puchh ke meri dukaan se lauT gayaa
kaamyaabi ki duaaein mujhe dene vaale
main tire ishq mein naakaam huaa jaataa huun
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
roz o shab bech diye hain main ne
is bulandi se giraataa kyaa hai
raat mein tiir andhe chalaane lage
aur nishaane pe un ke nishaane lage
ghazab kiyaa tire vaade pe e'tibaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intizaar kiyaa