Shayari
gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
khanda-e-ahl-e-jahaan ki mujhe parvaa kyaa hai
tum bhi hanste ho mire haal pe ronaa hai yahi
خندۂ اہل جہاں کی مجھے پروا کیا ہے
تم بھی ہنستے ہو مرے حال پہ رونا ہے یہی
ख़ंदा-ए-अहल-ए-जहाँ की मुझे पर्वा क्या है
तुम भी हँसते हो मिरे हाल पे रोना है यही

gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
raat din naama-o-paighaam kahaan tak doge
saaf kah dijiye milnaa hamein manzur nahin
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diyaa
taasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi
ik larzish-e-khafi mire saare badan mein thi
ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
chhup nahin sakti chhupaane se mohabbat ki nazar
paD hi jaati hai rukh-e-yaar pe hasrat ki nazar