Shayari
zindagi ki baat sun kar kyaa kahein
ik tamannaa thi taqaazaa ban gai
badan pe pairahan-e-khaak ke sivaa kyaa hai
mire alaav mein ab raakh ke sivaa kyaa hai
بدن پہ پیرہن خاک کے سوا کیا ہے
مرے الاؤ میں اب راکھ کے سوا کیا ہے
बदन पे पैरहन-ए-ख़ाक के सिवा क्या है
मिरे अलाव में अब राख के सिवा क्या है

zindagi ki baat sun kar kyaa kahein
ik tamannaa thi taqaazaa ban gai
suraj ko ye gham hai ki samundar bhi hai paayaab
yaa rab mire qulzum mein koi sail-e-ravaan aur
har taraf ik muhib sannaaTaa
dil dhaDaktaa to hai magar khaamosh
tujh se vafaa na ki to kisi se vafaa na ki
kis tarah intiqaam liyaa apne aap se
taariki mein lipTi hui pur-haul khamoshi
is aalam mein kyaa nahin mumkin jaagte rahnaa
main sochtaa huun is liye shaayad main zinda huun
mumkin hai ye gumaan haqiqat kaa gyaan de