Shayari
husn yuun ishq se naaraaz hai ab
phuul khushbu se khafaa ho jaise
shor-e-dariyaa-e-vafaa-e-ishrat ishrat-e-saahil ke qarib
ruk gae apne qadam aae jo manzil ke qarib
شور دریائے وفا عشرت ساحل کے قریب
رک گئے اپنے قدم آئے جو منزل کے قریب
शोर-ए-दरिया-ए-वफ़ा इशरत-ए-साहिल के क़रीब
रुक गए अपने क़दम आए जो मंज़िल के क़रीब

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
mire hamraah garche duur tak logon ki raunaq hai
magar jaise koi kam hai kabhi milne chale aao
yak qadam raah-e-dost hai 'daaud'
lekin afsos paa-e-bakht hai lang