Shayari
is liye sab se alag hai miri khushbu 'aami'
mushk-e-mazdur pasine mein liye phirtaa huun
hamaare khuun se luThDe hue hain haath us ke
hamaare saath mohabbat bhi hai zamaane ko
ہمارے خون سے لتھڑے ہوئے ہیں ہاتھ اس کے
ہمارے ساتھ محبت بھی ہے زمانے کو
हमारे ख़ून से लुथड़े हुए हैं हाथ उस के
हमारे साथ मोहब्बत भी है ज़माने को

is liye sab se alag hai miri khushbu 'aami'
mushk-e-mazdur pasine mein liye phirtaa huun
hamaare khvaab salaamat rahein tumhaare saath
ye baat kaafi hai duniyaa ki niind uDaane ko
ham-saae mein shaitaan bhi rahtaa hai khudaa bhi
jannat bhi mayassar hai jahannam ki havaa bhi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'baani' zaraa sambhal ke mohabbat kaa moD kaaT
ik haadsa bhi taak mein hogaa yahin kahin
dil-e-tabaah mein aabaad hai zamaane se
ik aisi baat jo khulti hai muskuraane se
kisi laashe pe ye baad-e-sabaa kahti hui guzri
shahid-e-ishq hai is ke lahu ko taaza kahte hain
aain-e-ishq yuun bhi badalnaa thaa ek din
jo baat vasl se thi vo ab guftugu se hai