Shayari
mujhe pata hai mohabbat mein kyaa guzarti hai
so tujh se ishq nahin tujh se dosti karungaa
us ne is tarah se badla hai ravayya apnaa
puchhnaa paDtaa hai har vaqt tumhin ho naa dost
اس نے اس طرح سے بدلہ ہے رویہ اپنا
پوچھنا پڑتا ہے ہر وقت تمہیں ہو نا دوست
उस ने इस तरह से बदला है रवय्या अपना
पूछना पड़ता है हर वक़्त तुम्हीं हो ना दोस्त

mujhe pata hai mohabbat mein kyaa guzarti hai
so tujh se ishq nahin tujh se dosti karungaa
andhere is liye rahte hain saath saath mire
ye jaante hain main ik roz raushni karungaa
log jaise bhi hon pairon ke tale rakhte hain
itnaa aasaan nahin hotaa hai zamin honaa dost
ab us se kahnaa ki agle hisse mein aane vaalaa hai moD aisaa
jahaan kisi kaa main hal banungaa koi miraa masala banegaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki