Shayari
thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
israaf ne arbaab-e-tamavvul ko Duboyaa
aalim ko tafaakhur ne to zaahid ko riyaa ne
اسراف نے ارباب تمول کو ڈبویا
عالم کو تفاخر نے تو زاہد کو ریا نے
इसराफ़ ने अर्बाब-ए-तमव्वुल को डुबोया
आलिम को तफ़ाख़ुर ने तो ज़ाहिद को रिया ने

thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
dilbari jazb-e-mohabbat kaa karishma hai faqat
kuchh karaamat nahin jaadu nahin eajaaz nahin