Shayari
thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
kholaa hai mujh pe sirr-e-haqiqat majaaz ne
ye pukhtagi sila hai khayaalaat-e-khaam kaa
کھولا ہے مجھ پہ سر حقیقت مجاز نے
یہ پختگی صلہ ہے خیالات خام کا
खोला है मुझ पे सिर्र-ए-हक़ीक़त मजाज़ ने
ये पुख़्तगी सिला है ख़यालात-ए-ख़ाम का

thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
dilbari jazb-e-mohabbat kaa karishma hai faqat
kuchh karaamat nahin jaadu nahin eajaaz nahin