Shayari
thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
vaan sajda-e-niyaaz ki miTTi kharaab hai
jab tak ki aab-e-dida se taaza vazu na ho
واں سجدۂ نیاز کی مٹی خراب ہے
جب تک کہ آب دیدہ سے تازہ وضو نہ ہو
वाँ सज्दा-ए-नियाज़ की मिट्टी ख़राब है
जब तक कि आब-ए-दीदा से ताज़ा वज़ू न हो

thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
dilbari jazb-e-mohabbat kaa karishma hai faqat
kuchh karaamat nahin jaadu nahin eajaaz nahin