Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
piine se kar chukaa thaa main tauba magar 'jalil'
baadal kaa rang dekh ke niyat badal gai
پینے سے کر چکا تھا میں توبہ مگر جلیلؔ
بادل کا رنگ دیکھ کے نیت بدل گئی
पीने से कर चुका था मैं तौबा मगर 'जलील'
बादल का रंग देख के नीयत बदल गई

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
hai shaam-e-avadh gesu-e-dildaar kaa partav
aur subh-e-banaras hai rukh-e-yaar kaa partav
kaaba-o-dair-o-kalisaa kaa tajassus kyuun ho
jab mire qalb hi mein meraa khudaa hai yaaro
shab-e-firaaq kai baar gosha-e-dil se
uThi to aah magar aah be-asar uTThi
ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai
vo ek khaas ilaaqa jo dil ke andar hai