Shayari
isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
tamaam raat nahaayaa thaa shahr baarish mein
vo rang utar hi gae jo utarne vaale the
تمام رات نہایا تھا شہر بارش میں
وہ رنگ اتر ہی گئے جو اترنے والے تھے
तमाम रात नहाया था शहर बारिश में
वो रंग उतर ही गए जो उतरने वाले थे

isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
hazaar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itnaa thaa ki koi saath rone vaalaa thaa
jo dil ke taaq mein tu ne charaagh rakkhaa thaa
na puchh main ne use kis tarah sitaara kiyaa
kisi bhi vaqt badal saktaa hai lamha koi
is qadar khush bhi na ho meri pareshaani par
vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar gae hain jo mausam guzarne vaale the
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
kaTaa thaa roz-e-musibat khudaa khudaa kar ke
ye raat aai ki sar pe mire azaab aayaa
har-dam ye duaa maangte rahte hain khudaa se
allaah bachaae shab-e-furqat ki balaa se