Shayari
yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
ik guzaarish hai hazrat-e-naaseh
aap ab aur koi kaam karein

yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
jhunjhlaae hain lajaae hain phir muskuraae hain
kis ehtimaam se unhein ham yaad aae hain
ishq ke kaarobaar ko aksar
garmi-e-kaarobaar le Duubi
ik aansu kah gayaa sab haal dil kaa
na samjhaa thaa ye zaalim be-zabaan hai
chaar din kaa hi saath thaa lekin
zindagi ai 'khumaar' le Duubi
mire raahbar mujh ko gumraah kar de
sunaa hai ki manzil qarib aa gai hai