Shayari
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
quraan kaa mafhum unhein kaun bataae
aankhon se jo chehron ki tilaavat nahin karte
قرآن کا مفہوم انہیں کون بتائے
آنکھوں سے جو چہروں کی تلاوت نہیں کرتے
क़ुरआन का मफ़्हूम उन्हें कौन बताए
आँखों से जो चेहरों की तिलावत नहीं करते

ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
aate aate aaegi duniyaa-daari
jaate jaate faaqa-masti jaaegi
ghaib kaa aisaa parinda hai zamin par insaan
aasmaanon ko jo shah-par pe uThaae hue hai
ham bhi tire beTe hain zaraa dekh hamein bhi
ai khaak-e-vatan tujh se shikaayat nahin karte
baDi bholi hai kharchili zarurat
shahanshaahi kamaai maangti hai
gharibi kaaTnaa aasaan nahin hai
vo saari umr patthar kaaTtaa hai