Shayari
dard kaa zaaiqa bataaun kyaa
ye ilaaqa zabaan se baahar hai
gharibi kaaTnaa aasaan nahin hai
vo saari umr patthar kaaTtaa hai

dard kaa zaaiqa bataaun kyaa
ye ilaaqa zabaan se baahar hai
shaam ke tiir se zakhmi hai 'khurshid' kaa siina
nuur simaT kar surkh kabutar ban jaataa hai
vo ek aaina chehre ki baat kartaa hai
vo ek aaina patthar se hai ziyaada kyaa
saahil se sunaa karte hain lahron ki kahaani
ye Thahre hue log baghaavat nahin karte
dil hai ki tire paanv se paazeb giri hai
suntaa huun bahut der se jhankaar kahin ki
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai
justuju khoe huon ki umr bhar karte rahe
chaand ke hamraah ham har shab safar karte rahe
kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil
koi hamaari tarah umr bhar safar mein rahaa
ab to ye aarzu hai ki vo zakhm khaaiye
taa-zindagi ye dil na koi aarzu kare
jo zahr pi chukaa huun tumhin ne mujhe diyaa
ab tum to zindagi ki duaaein mujhe na do
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne mein rahaa karti hai