Shayari
aate aate aaegi duniyaa-daari
jaate jaate faaqa-masti jaaegi
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
اے شہر ستم زاد تری عمر بڑی ہو
کچھ اور بتا نقل مکانی کے علاوہ
ऐ शहर-ए-सितम-ज़ाद तिरी उम्र बड़ी हो
कुछ और बता नक़्ल-ए-मकानी के अलावा

aate aate aaegi duniyaa-daari
jaate jaate faaqa-masti jaaegi
ghaib kaa aisaa parinda hai zamin par insaan
aasmaanon ko jo shah-par pe uThaae hue hai
ham bhi tire beTe hain zaraa dekh hamein bhi
ai khaak-e-vatan tujh se shikaayat nahin karte
baDi bholi hai kharchili zarurat
shahanshaahi kamaai maangti hai
yahaan to rasm hai zindon ko dafn karne ki
kisi bhi qabr se murda kahaan nikaltaa hai
gharibi kaaTnaa aasaan nahin hai
vo saari umr patthar kaaTtaa hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ham bahut pachhtaae aavaazon se rishta joD kar
shor ik lamhe kaa thaa aur zindagi bhar kaa sukut
tamaam umr havaa phaankte hue guzri
rahe zamin pe magar khaak kaa mazaa na liyaa
laai hayaat aae qazaa le chali chale
apni khushi na aae na apni khushi chale