Shayari
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
rotaa huun to sailaab se kaTti hain zaminein
hanstaa huun to Dah jaate hain kohsaar miri jaan
روتا ہوں تو سیلاب سے کٹتی ہیں زمینیں
ہنستا ہوں تو ڈھ جاتے ہیں کہسار مری جاں
रोता हूँ तो सैलाब से कटती हैं ज़मीनें
हँसता हूँ तो ढह जाते हैं कोहसार मिरी जाँ

ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
aate aate aaegi duniyaa-daari
jaate jaate faaqa-masti jaaegi
ghaib kaa aisaa parinda hai zamin par insaan
aasmaanon ko jo shah-par pe uThaae hue hai
ham bhi tire beTe hain zaraa dekh hamein bhi
ai khaak-e-vatan tujh se shikaayat nahin karte
baDi bholi hai kharchili zarurat
shahanshaahi kamaai maangti hai
gharibi kaaTnaa aasaan nahin hai
vo saari umr patthar kaaTtaa hai