Shayari
guzri jo rahguzar mein use darguzar kiyaa
aur phir ye tazkira kabhi jaa kar na ghar kiyaa
nahin ehsaas tum ko raaegaani kaa hamaari
suhulat se tumhein shaayad mayassar ho gae hain
نہیں احساس تم کو رائیگانی کا ہماری
سہولت سے تمہیں شاید میسر ہو گئے ہیں
नहीं एहसास तुम को राएगानी का हमारी
सुहुलत से तुम्हें शायद मयस्सर हो गए हैं

guzri jo rahguzar mein use darguzar kiyaa
aur phir ye tazkira kabhi jaa kar na ghar kiyaa
main ne puchhaa ki koi dil-zadagaan ki hai misaal
kis tavaqquf se kahaa us ne ki haan tum aur main
kab tak ai baad-e-sabaa tujh se tavaqqo rakkhun
dil tamannaa kaa shajar hai to haraa ho bhi chukaa
aaine mein aur aab-e-ravaan mein thaa tiraa aks
shaayad ki miraa dida-e-tar teri taraf thaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa