Shayari
vo tiraa unchi haveli ke qafas mein rahnaa
yaad aae to parindon ko rihaa kartaa huun
baarishein us kaa lab-o-lahja pahan leti thiin
shor karti thi vo barsaat mein jhaanjhar ki tarah
بارشیں اس کا لب و لہجہ پہن لیتی تھیں
شور کرتی تھی وہ برسات میں جھانجھر کی طرح
बारिशें उस का लब-ओ-लहजा पहन लेती थीं
शोर करती थी वो बरसात में झाँझर की तरह

vo tiraa unchi haveli ke qafas mein rahnaa
yaad aae to parindon ko rihaa kartaa huun
qayaam kartaa huun akasr main dil ke kamre mein
ki jam na jaae kahin gard us ki chizon par
tujh aisi narm garm kai laDkiyon ke saath
main ne shab-e-firaaq Dubo di sharaab mein
aa giraa zinda shamshaan mein lakDiyon kaa dhuaan dekh kar
ik musaafir parinda kai sard raaton kaa maaraa huaa
bas ek raat se kaise thakan utarti hai
badan ko chaahiye aaraam kuchh ziyaada hi
bas ek lunch hi mumkin thaa jaldi jaldi mein
use bhi jaanaa thaa mujh ko bhi kaam karnaa thaa
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
be-khudi ne kar diyaa jazbaat-e-dil se be-niyaaz
ab tiraa milnaa na milnaa sab baraabar ho gayaa
baras rahi thi baarish baahar
aur vo bhiig rahaa thaa mujh mein
do baadal aapas mein mile the phir aisi barsaat hui
jism ne jism se sargoshi ki ruuh ki ruuh se baat hui
ye garajnaa baadalon kaa yuun lage
baat mujh se kartaa ho jaise khudaa
chhup jaaein kahin aa ki bahut tez hai baarish
ye mere tire jism to miTTi ke bane hain