Shayari
huun khafaa saare zamaane se faqat tere liye
'ishq ki tauhid mere tu kabhi to jaanegaa

Rohit Rahi
Rohit Rahi
huun khafaa saare zamaane se faqat tere liye
'ishq ki tauhid mere tu kabhi to jaanegaa
ham-mizaaji kaa na yuun daa'vaa karo
aashnaa honaa miraa aasaan nahin
pattharon ke ye sanam sunte hain kab
kaifiyat apni khudaa hi jaane hain
paarsaai kaa tujhe 'rohit' milegaa kyaa samar
kahte hain duniyaa jise sadiyon se be-tartib hai
'ishq ki koi kasak hai yaa karam urdu kaa hai
bahr mein Dhaltaa hai yaaron khud-ba-khud meraa kalaam
baab sab ham ne mohabbat ke paDhe
'mir' saa hogaa na koi phir kabhi
in bahaaron ki havaaon ko shikaayat ham se hai
ham kali ko lams se gul karte hain jaan-e-jigar
'ishq ki fitrat sadaa aazaad hai
qaid mein dair-o-haram ki kab rahaa
aarzu ik 'ishq ki laai 'adam se dahr tak
kaifiyat ye paane ko piitaa hai aadam zahr tak
ye garajnaa baadalon kaa yuun lage
baat mujh se kartaa ho jaise khudaa
qaid kyaa dair-o-haram ki zaahido
jalva-gar hai har taraf meraa sanam
is tarah duniyaa se meri hai nibaah
aandhiyon mein diip goyaa jaltaa ho