Shayari
suraj chaDhaa to pighli bahut choTiyon ki barf
aandhi chali to ukhDe bahut saaya-daar log
ab raah-e-vafaa ke patthar ko ham phuul nahin samjheinge kabhi
pahle hi qadam par Thes lagi dil TuuT gayaa achchhaa hi huaa
اب راہ وفا کے پتھر کو ہم پھول نہیں سمجھیں گے کبھی
پہلے ہی قدم پر ٹھیس لگی دل ٹوٹ گیا اچھا ہی ہوا
अब राह-ए-वफ़ा के पत्थर को हम फूल नहीं समझेंगे कभी
पहले ही क़दम पर ठेस लगी दिल टूट गया अच्छा ही हुआ

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
pahunchi dilon ki aag hamaare khiyaam tak
lekin dhuaan to jaaegaa darbaar-e-shaam tak
jhuki jhuki si nazar be-qaraar hai ki nahin
dabaa dabaa saa sahi dil mein pyaar hai ki nahin
ab jis taraf se chaahe guzar jaae kaarvaan
viraaniyaan to sab mire dil mein utar gaiin
jism ne apni 'umr guzaari sindh ke registaanon mein
dil kam-bakht baDaa ziddi thaa aakhir tak panjaab rahaa