Shayari
meri taarif kare yaa mujhe bad-naam kare
jis ne jo baat bhi karni hai sar-e-aam kare
main aisi raah pe niklaa ki meri khush-bakhti
tamaam umr miri khoj mein bhaTakti rahi
میں ایسی راہ پہ نکلا کہ میری خوش بختی
تمام عمر مری کھوج میں بھٹکتی رہی
मैं ऐसी राह पे निकला कि मेरी ख़ुश-बख़्ती
तमाम उम्र मिरी खोज में भटकती रही

meri taarif kare yaa mujhe bad-naam kare
jis ne jo baat bhi karni hai sar-e-aam kare
mujhe khud apni nahin us ki fikr laahaq hai
bichhaDne vaalaa bhi mujh saa hi be-sahaaraa thaa
safar pe niklein magar samt ki khabar to mile
koi kiran koi jugnu dikhaai de to chalein
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai