Shayari
mohabbat is liye zaahir nahin ki
ki tum ko e'tibaar aae na aae
dukhaataa hai miraa dil be alif re
huaa huun ranj se main ze alif re
دکھاتا ہے مرا دل بے الف رے
ہوا ہوں رنج سے میں ز الف رے
दुखाता है मिरा दिल बे अलिफ़ रे
हुआ हूँ रंज से मैं ज़े अलिफ़ रे

mohabbat is liye zaahir nahin ki
ki tum ko e'tibaar aae na aae
naqsh hoti jaati hain laakhon buton ki suratein
kyaa ye dil bhi khitta-e-hindostaan ho jaaegaa
teri marzi gar isi mein hai ki ho didaar-e-aam
ham ne aankhon par qadam saare zamaane ke liye
shab-e-furqat hai Thaharte nahin shoale dil mein
taara TuuTaa ki miri aankh se aansu TuuTaa
misaal-e-charkh rahaa aasmaan sar-gardaan
par aaj tak na khulaa ye ki justuju kyaa hai
bataa tu dil ke bachaane ki koi raah bhi hai
tiri nigaah ki naavak-fagan panaah bhi hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
zabaan pe shukr o shikaayat ke sau fasaane hain
magar jo dil pe guzarti hai kyaa kahaa jaae
chehre pe saare shahr ke gard-e-malaal hai
jo dil kaa haal hai vahi dilli kaa haal hai
ab dekh ke apni surat ko ik choT si dil par lagti hai
guzre hue lamhe kahte hain aaina bhi patthar hotaa hai
ye na jaanaa the ki us mahfil mein dil rah jaaegaa
ham ye samjhe the chale aaeinge dam bhar dekh kar