Shayari
kahaan ke dost kaise aqrabaa jab vaqt paDtaa hai
musibat mein kisi ki dosti se kuchh nahin hotaa
M
Mohammad Abbas Safiirna jaaegaa mere dil se khayaal-e-abru-e-dil-bar
ki teghon hi ke saae mein to hai jannat musalmaan ki
نہ جائے گا میرے دل سے خیال ابروئے دلبر
کہ تیغوں ہی کے سائے میں تو ہے جنت مسلماں کی
न जाएगा मेरे दिल से ख़याल-ए-अबरू-ए-दिलबर
कि तेग़ों ही के साए में तो है जन्नत मुसलमाँ की
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki