Shayari
na jaaegaa mere dil se khayaal-e-abru-e-dil-bar
ki teghon hi ke saae mein to hai jannat musalmaan ki
M
Mohammad Abbas Safiirkahaan ke dost kaise aqrabaa jab vaqt paDtaa hai
musibat mein kisi ki dosti se kuchh nahin hotaa
کہاں کے دوست کیسے اقربا جب وقت پڑتا ہے
مصیبت میں کسی کی دوستی سے کچھ نہیں ہوتا
कहाँ के दोस्त कैसे अक़रबा जब वक़्त पड़ता है
मुसीबत में किसी की दोस्ती से कुछ नहीं होता
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue