Shayari
har phuul pe qadghan ki tiri shakl pe nikle
har zakhm pe laazim ki tiraa dast-nigar ho
ik balaa kukti hai galiyon mein
sab simaT kar gharon mein baiTh rahein
اک بلا کوکتی ہے گلیوں میں
سب سمٹ کر گھروں میں بیٹھ رہیں
इक बला कूकती है गलियों में
सब सिमट कर घरों में बैठ रहें

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
dil ko apne kyaa kisi kaa ghar kahun
aaj khalvat-khaana kal baazaar hai