Shayari
sadaa-e-vaqt ki gar baaz-gasht san paao
mire khayaal ko tum shaairaana kah denaa
nairangi-e-siyaasat-e-dauraan to dekhiye
manzil unhein mili jo sharik-e-safar na the
نیرنگیٔ سیاست دوراں تو دیکھیے
منزل انہیں ملی جو شریک سفر نہ تھے
नैरंगी-ए-सियासत-ए-दौराँ तो देखिए
मंज़िल उन्हें मिली जो शरीक-ए-सफ़र न थे

sadaa-e-vaqt ki gar baaz-gasht san paao
mire khayaal ko tum shaairaana kah denaa
hamaari jaan pe dohraa azaab hai 'mohsin'
ki dekhnaa hi nahin ham ko sochnaa bhi hai
iblaagh ke liye na tum akhbaar dekhnaa
ho justuju to kucha-o-baazaar dekhnaa
zindagi gul hai naghma hai mahtaab hai
zindagi ko faqat imtihaan mat samajh
kyaa khabar thi hamein ye zakhm bhi khaanaa hogaa
tu nahin hogaa tiri bazm mein aanaa hogaa
is liye suntaa huun 'mohsin' har fasaana ghaur se
ik haqiqat ke bhi ban jaate hain afsaane bahut
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar
kyaa miraa ishq-e-jigar-soz khudaa-daad nahin