Shayari
kabhi us ki maujon mein aflaak bahte mile hain
kabhi us ko kashti chalaate hue dekhtaa huun
faqat aankhein charaaghon ki tarah se jal rahi hain
kisi ki dastaras mein hai kahaan koi sitaara
فقط آنکھیں چراغوں کی طرح سے جل رہی ہیں
کسی کی دسترس میں ہے کہاں کوئی ستارہ
फ़क़त आँखें चराग़ों की तरह से जल रही हैं
किसी की दस्तरस में है कहाँ कोई सितारा

kabhi us ki maujon mein aflaak bahte mile hain
kabhi us ko kashti chalaate hue dekhtaa huun
mire khilaaf shahaadat hai mo'tabar sab ki
magar kisi se kisi kaa bayaan nahin miltaa
mujhe daaeron ke hujum mein kahin bhej de
miri vusaton ko davaam kar kaf-e-kuza-gar
'aks rakhtaa thaa na apni zaat mein apnaa koi
kitne chehre aainon ke saamne rakkhe gae
havaa jab kabhi saahili giit chheDe hue ho
main patton ko taali bajaate hue dekhtaa huun
vo paani mein jab apni chhab dekhtaa hai to main bhi
nadi chaandni mein nahaate hue dekhtaa huun
tumhaari saalgirah par yahi du'aa hai tumhein
falak pe jitne sitaare hon utni khushiyaan milein
falak detaa hai jin ko 'aish un ko gham bhi hote hain
jahaan bajte hain naqqaare vahaan maatam bhi hote hai
khaDaa huun zer-e-falak gumbad-e-sadaa mein 'munir'
ki jaise haath uThaa ho koi duaa ke liye
is jabin-e-araq-afshaan pe na chuniye afshaan
ye sitaare kahin mil jaaein na sayyaaron mein
aaj ki raat bhi guzri hai miri kal ki tarah
haath aae na sitaare tire aanchal ki tarah
hazaar raaste badle hazaar svaang rache
magar hai raqs mein sar par ik aasmaan vahi