Shayari
kucha-e-jaanaan mein yaaro kaun suntaa hai miri
mujh se vaan phirte hain laakhon daad aur be-daad mein
M
Munawar Khan Ghafilaae kabhi to dasht se vo shahar ki taraf
majnun ke paanv mein jo na zanjir-e-jaada ho
آئے کبھی تو دشت سے وہ شہر کی طرف
مجنوں کے پاؤں میں جو نہ زنجیر جادہ ہو
आए कभी तो दश्त से वो शहर की तरफ़
मजनूँ के पाँव में जो न ज़ंजीर-ए-जादा हो
kucha-e-jaanaan mein yaaro kaun suntaa hai miri
mujh se vaan phirte hain laakhon daad aur be-daad mein
kaun dariyaa-e-mohabbat se utar saktaa hai paar
kashti-e-farhaad aakhir koh se Takraa gai
baad marne ke miri qabr pe aayaa 'ghaafil'
yaad aai mire iisaa ko davaa mere baad
jite-ji qadr bashar ki nahin hoti saahab
yaad aaegi tumhein meri vafaa mere baad
lailatul-qadr hai har shab use har roz hai iid
jis ne mai-khaane mein maah-e-ramazaan dekhaa hai
vasl mein bhi nahin majaal-e-sukhan
is rasaai pe naa-rasaa hain ham