Shayari
sitaare gum hue khurshid niklaa
araq jab yaar ne ponchhaa jabin se
M
Munawar Khan Ghafilvo aaina-tan aaina phir kis liye dekhe
jo dekh le munh apnaa har ik uzv-e-badan mein
وہ آئنہ تن آئینہ پھر کس لیے دیکھے
جو دیکھ لے منہ اپنا ہر اک عضو بدن میں
वो आइना-तन आईना फिर किस लिए देखे
जो देख ले मुँह अपना हर इक उ'ज़्व-ए-बदन में
sitaare gum hue khurshid niklaa
araq jab yaar ne ponchhaa jabin se
apne majnun ki zaraa dekh to be-parvaai
pairahan chaak hai aur fikr silaane ki nahin
kucha-e-jaanaan mein yaaro kaun suntaa hai miri
mujh se vaan phirte hain laakhon daad aur be-daad mein
kaun dariyaa-e-mohabbat se utar saktaa hai paar
kashti-e-farhaad aakhir koh se Takraa gai
baad marne ke miri qabr pe aayaa 'ghaafil'
yaad aai mire iisaa ko davaa mere baad
vasl mein bhi nahin majaal-e-sukhan
is rasaai pe naa-rasaa hain ham