Shayari
khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
sharm kab tak ai pari laa haath kar iqraar-e-vasl
apne dil ko sakht kar ke rishta-e-inkaar toD
شرم کب تک اے پری لا ہاتھ کر اقرار وصل
اپنے دل کو سخت کر کے رشتۂ انکار توڑ
शर्म कब तक ऐ परी ला हाथ कर इक़रार-ए-वस्ल
अपने दिल को सख़्त कर के रिश्ता-ए-इंकार तोड़

khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-aashiqaan
vo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein
jis roz main gintaa huun tire aane ki ghaDiyaan
suraj ko banaa deti hai sone ki ghaDi baat
haath milvaate ho tarsaae gilauri ke liye
kaf-e-afsos na mal jaae kahin paanv mein
jab kabhi maski kaTori kyaa sadaa paidaa hui
karti hai angiyaa ki chiDiyaa chahchahaane ki havas
ho gayaa maamur aalam jab kiyaa darbaar-e-aam
takhliya chaahaa to duniyaa saaf khaali ho gai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai
ye aazmaaish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai
main ne kab daavaa-e-ilhaam kiyaa hai 'taabaan'
likh diyaa kartaa huun jo dil pe guzarti jaae
aaj kisi ne baaton baaton mein jab un kaa naam liyaa
dil ne jaise Thokar khaai dard ne baDh kar thaam liyaa
meraa saaqi hai baDaa dariyaa-dil
phir bhi pyaasaa huun ki sahraa huun main