Shayari
inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao
mire ghar ke raaste mein koi kahkashaan nahin hai
ham anjuman mein sab ki taraf dekhte rahe
apni tarah se koi akelaa nahin milaa
ہم انجمن میں سب کی طرف دیکھتے رہے
اپنی طرح سے کوئی اکیلا نہیں ملا
हम अंजुमन में सब की तरफ़ देखते रहे
अपनी तरह से कोई अकेला नहीं मिला

inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao
mire ghar ke raaste mein koi kahkashaan nahin hai
dil ke rishte ajiib rishte hain
saans lene se TuuT jaate hain
main usi koh-sifat khuun ki ik buund huun jo
reg-zaar-e-najaf o khaak-e-khuraasaan se milaa
aankh jhuk jaati hai jab band-e-qabaa khulte hain
tujh mein uThte hue khurshid ki uryaani hai
ishq in zaalimon ki duniyaa mein
kitni mazlum zaat hai ai dil
aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-paa nahin milaa
dil jis se mil gayaa vo dobaaraa nahin milaa
dard jab zabt ki har had se guzar jaataa hai
khvaab tanhaai ki aaghosh mein so jaate hain
tiri yaadon se mahkaa hai meri tanhaai kaa aalam
qayaamat tak inhin tanhaaiyaan mein Dubnaa chaahun
aati jaati hui tanhaai ko pahchaantaa huun
ghar ke darvaaze pe baiThaa huun sadhaayaa huaa main
vo jo ik shor saa barpaa hai amal hai meraa
ye jo tanhaai barasti hai sazaa meri hai
ho gayaa mehmaan-saraa-e-kasrat-e-mauhum aah
vo dil-e-khaali ki teraa khaas khalvat-khaana thaa
qabr par kyaa huaa jo melaa hai
marne vaalaa niraa akelaa hai