Shayari
maan TuuTe to phir nahin juDtaa
bad-gumaani kabhi na aa ke gai
jitni aankhein thiin saari meri thiin
jitne manzar the sab tumhaare the
جتنی آنکھیں تھیں ساری میری تھیں
جتنے منظر تھے سب تمہارے تھے
जितनी आँखें थीं सारी मेरी थीं
जितने मंज़र थे सब तुम्हारे थे

maan TuuTe to phir nahin juDtaa
bad-gumaani kabhi na aa ke gai
ishq tu bhi zaraa Tikaa le kamar
dil bhi ab so gayaa hai raat gae
main vo mahrum-e-inaayat huun ki jis ne tujh se
milnaa chaahaa to bichhaDne ki vabaa phuuT paDi
main khud ko saamne tere biThaa kar
khud apne se gila kartaa rahaa huun
yaa husn hai naa-vaaqif-e-pindaar-e-mohabbat
yaa ishq hi aasaani-e-atvaar mein gum hai
ye jaantaa hai palaT kar use nahin aanaa
vo apni ziist ki khinchti hui kamaan mein hai