Shayari
ishq vo chaar su safar hai jahaan
koi bhi raasta nahin ruktaa
yaa husn hai naa-vaaqif-e-pindaar-e-mohabbat
yaa ishq hi aasaani-e-atvaar mein gum hai
یا حسن ہے ناواقف پندار محبت
یا عشق ہی آسانیٔ اطوار میں گم ہے
या हुस्न है ना-वाक़िफ़-ए-पिंदार-ए-मोहब्बत
या इश्क़ ही आसानी-ए-अतवार में गुम है

ishq vo chaar su safar hai jahaan
koi bhi raasta nahin ruktaa
maan TuuTe to phir nahin juDtaa
bad-gumaani kabhi na aa ke gai
ishq tu bhi zaraa Tikaa le kamar
dil bhi ab so gayaa hai raat gae
main vo mahrum-e-inaayat huun ki jis ne tujh se
milnaa chaahaa to bichhaDne ki vabaa phuuT paDi
jitni aankhein thiin saari meri thiin
jitne manzar the sab tumhaare the
main khud ko saamne tere biThaa kar
khud apne se gila kartaa rahaa huun
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa