Shayari
sun kisi din to mire gham ki kahaani
tujh ko dard-e-dil bataanaa chaahti huun
mujhe dard ki baarishon mein bahaa kar
vo rahnaa tiraa be-khabar yaad aayaa

sun kisi din to mire gham ki kahaani
tujh ko dard-e-dil bataanaa chaahti huun
aur phir dil ne us ko chhoD diyaa
jab ta'alluq bahaal thaa hi nahin
jaane kis samt uDtaa phirtaa hai
meraa ye dil tire khayaal mein gum
tu dard bhi duaa bhi tu zakhm bhi davaa bhi
shikve bhi hain tujhi se aur pyaar bhi tujhi se
maan leti huun mukammal ho tum
maan leti huun kami hai mujh mein
koi to baat us ki maan leti
mohabbat umr mein mujh se baDi thi
Dil dhoondta hai phir wahi fursat-e-shab-o-roz
Naaz uthana, naaz uthana, naaz uthana
Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle
dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas
baDe baDe gham khaDe hue the rasta roke raahon mein
chhoTi chhoTi khushiyon se hi ham ne dil ko shaad kiyaa
khud apne se milne kaa to yaaraa na thaa mujh mein
main bhiiD mein gum ho gai tanhaai ke Dar se
dil naa-umid to nahin naakaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai